हमेशा देर कर देता हूँ मैं हर काम करने में
ज़रूरी बात कहनी हो कोई वा'दा निभाना हो
उसे आवाज़ देनी हो उसे वापस बुलाना हो
हमेशा देर कर देता हूँ मैं
मदद करनी हो उस की यार की ढारस बंधाना हो
बहुत देरीना रस्तों पर किसी से मिलने जाना हो
हमेशा देर कर देता हूँ मैं
बदलते मौसमों की सैर में दिल को लगाना हो
किसी को याद रखना हो किसी को भूल जाना हो
हमेशा देर कर देता हूँ मैं
किसी को मौत से पहले किसी ग़म से बचाना हो
हक़ीक़त और थी कुछ उस को जा के ये बताना हो
हमेशा देर कर देता हूँ मैं हर काम करने में.....
- मुनीर नियाज़ी
Hamesh Der Kar Deta Hoon
hamesha der kar deta hoon main har kaam karne mein
zaroori baat kahni ho koi vaada nibhaana ho
use aawaaz deni ho use waapas bulaana ho
hamesha der kar deta hoon main
madad karne ho us ki yaar ki dhaaras bandhaana ho
bahut deerina raston par kisi se milne jaana ho
hamesha der kar deta hoon main
badalte mausamon ki sair men dil ko lagana ho
kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhool jaana ho
hamesha der kar deta hoon main
kisi ko maut se pahle kisi gham se bachaana ho
haqeeqat aur thi kuchh us ko ja ke ye bataana ho
hamesha der kar deta hoom main har kaam karne mein
- Muneer Niyazi

0 Comments